Dosto Mein Ek Dth Technician Hu. Muje Kafi log Sawaal Karte Hai Ki 1 Dish antenna se 2 Set top box kaise Chaleye. Meine Serve Kiya Hai ki Kafi Logo Ke Ghar Par Dish Antena Lagane Ki Achhi Jagah Nahi Hoti. Kisi Ke Ghar ke Aage LOS Problem Aa Raha Hai, Toh Kisi ke Ghar Me Dish Antena install Karne ki Achhi Jagah Nahi Hai. Toh Kisi Ke Ghar Pe Bander (Monkey) Dish Alieament Hila Dete Hai. Kisi Ke Ghar Pe Jyaada TV Hai Ishaliye Jyaada dish Lagani Padti Hai. Lekin Yeh Sab Baaten Ka Sollution Hai Ki Aap Ek Hi Dish Lagaye Aur Use Dish antenna se 2,3,4 ya jyaada Connection set Kar de. Aaj Is Post Se Me Aapko Samjana Chahta hu ki 1 Dish antenna se 2 set top box Kaise Chalaye.
1 Dish antenna Se 2 Set top Box kaise Chalaye Step by step details
1 Dish antenna Se 2 Set top box Chalane Ka Tarika:
Agar Aap Mere Ye Post Dhyaan Se Padhenge toh..Ek Dish antenna se Do Ya Do Jyaada Set top box Aasani Se Chala Sakenge.
Agar Aap 1 Dish antenna se 2 set top box lagana chahte ho to Dish Antena me Single Lnbf Nikal kar Dual LNBF Laga de. Dual LNBF me Connector Lagane ke Liye 2 port Aate Hai. Aap Ye 2 Port Me Cable Connector Ki Ek Side Laga De. Cable Ki Dusare Side Wale Connector Alag-Alag Set top box Me Laga de. Aise Aap Dish me Dual LNBF Dish Antena Me Laga kar 1 Dish Antena se Aasani se 2 set top box Chala Sakte Hai. Niche Diye Gaye Image Dhyan se Dekhe Aap Aasani se Samaj Jayene.
1 Dish antenna Se 3 ya 4 Set top box Chalane Ka Tarika:
Agar Aap 3 ya 4 Set top box 1 dish antenna
1 Dish antenna Se 4 se 24 Set top box Chalane Ka Tarika:
Dosto Ye Baat Apko Thodi Ajeeb Lag Sakti Hai ki 1 Dish Antena Se 24 Set top box chale. Lekin wo Bhi Possible Hai. Aisa Karne Ke Liye Aap Ko Super LNBF Ka Istemaal Karna Hoga. Kuch Logo Ko Super Lnbf Ke Baare Me Pata Nahi Hoga Toh Me Bata Deta Hu. Friends Super LNBF Tatasky me Use Hota Hai. Super LNBF Ek Alag Tarah Ka LNBF Hai. Super LNBf Me Signal Output Ka Single Port Aata Hai wah se Output Lekar Aap DISEqe Switch ke input me Laga kar 24 signal Output Mil Sakte Hai . Niche Super LNBF ke Image Ko Dekh Kar Aap Ko Samaj ne me Aasani Hogi.
1 Dish antenna Se Jyaada Set top box Chalane Ke Fayade- benefits:
- Agar Jyaada Connection Hai Toh Dish Antenna ka Kharrch Kam Hoga.
- 1 Dish Antenna Lagane Se Kafi Jagah Bach Sakti Hai.
- Bada Aparment ,hospital yadi jagah me ye stystem Achhe se Kaam Aaa sakti Hai.
- Cable fit karne me aasani rahti hai.
Extra Shots:
- Hamari ye post apko kaisi lagi ye jarur hame Comment kar ke Bataye.
- Is post apne Friends ko jarur Share Kare.
- Dth Releted Koi bhi Sawwal Ho Toh Aap hame Comment me Bata Sakte Hai.
Comments are closed.